Friday, March 25, 2011

KAHANI

Kahani nahi kisse kitabo ki,
Haqukeet ki pachaan ho main.
Tooti huie koi bejaan dali nahi,
Her cheez me busne wali jaan ho main.
Uddasi bekhri huie hai iss jaha me,
Aise me chehre pe chaie ek muskaan ho main.
Kahani nahi kisse,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Thhaari huie koi jheel nahi,
Waqt me basi huie ek rawangi ho main.
Koi bhooli yaadein nahi,
Aane wali kal ki aagaj ho mian.
Muhtaaj nahi kisse alffajo ki,
Her lafjo se nikli huie taareef ho main.
Kahani nahi kisse,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Bikhri huie koi panna nahi,
Pyaari si ek daastaa ho main.
Aake thaam lo in haatho ko ek bar,
Her manzil se robaroo ho main.
Meri zindgi ek rawangi hai,
Chalte rahna he ek deewangi hai,
Jub kahi ye rook jaye to bus,
Khatam huie ek kahani ho main.
Kahani nahi kisse,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

1 comment: